Kuch lamhe pure hoke bhi

Sung ek khali pan liye hote hai

Aisa bs mera hi manna h ya,

Wo asal m ye khyal hme diye hote hai.

Un lamho k ye khyal

Mujhko kuch anjane alfaz de jaya krte hai,

Bs fir is waqt ka apna hissa

Mujhse kahin door le jaya krte hai.

Alfaaz pirokar ek kahani banti hai

Jo kuch purane se kisso ki rawani khti hai

Lamhe naye se hai to kahani bhi nayi honi chahiye

Ahsaso k naye dhago se hi wo pironi chahiye

Sunane par chehre par chha jaye ek chamak

Sunne walo ki har hsti mehkni chahiye.

Lekin Naya sa kuch judaa hi nhi

Ye dil raahi kaafi waqt se jis raah p tha 

Wahan se kahin mudaa hi nhi.

Ye lamhe Aaj bhi Khali se h yunhi

Khyalo se wesi bhare hue hai

Mehfil e alfaz sazi h yunhi 

Intzar m nazm raah khde Hue hai.


©Shivangi

0 Comments