UMMENDEIN :Unlock 1

Han kuch khula hai shehr mai
Lekin ander ki baat to ye hai,
Wahan ka hr jrra h qahar mai.

Wo ronake saji hui bastiyan
Abi najar m nhi hongi,
Bs intzar hi rkhna h pass m
Ye ummed bs hmse
Khin nhi khongi.

Laut aana patri par
Is zindgi ka fir se,
Ye abhi hmari aankho ka
Ek dheema sa khwab hoga,
Lekin is mushqil daur mai bhi
Ek rahi ki jubaan p apna hi ek ruaab hoga.

Lotenge fir se apni us jmee par
Jahan se la rhe hai wapis kuch nami ghar,
Firse khuhsiyan boyenge
Aasman ko chhuyenge,
Nirasha k andhkar se
Hum jrur ek roj door hoenge.

Galiyan hmari un bachho se
Fir se Gulzar si rhengi,
Aa khele ek khel sath mai
Is geet k sath hi har sham bahengi.

©Shivangi



2 Comments